3k..............🏃‍♂️
1k Complete on:29/6/2026
2k Complete on: 2/10/2026


Talwaar baaz

Can we complete 3K by the end of October?

1 day ago | [YT] | 118

Talwaar baaz

Last Part:

Ab hamza zara se bdla lena chtata tha.uss ne char din to bohat mushkil se nikal liye.
ik subha zara nastha bnati han.hamza kheta han ke ma chai bnata ho. hamza chai bnata han or uss me zher daal deta han.

jo wo kal raat ko le kr aya tha.zara ik do ghoont peene ke baad usko chkar ane lgte han or wo dm toor jati han.

utni hi deer me uske parents uske milne ate han kiu ke zara ki tabiyat kharab thi. wo jb zara ko zammen pr dekhte han to dar jate han. utni deer me hamza bhaag jata han.

zara ke parents zara ke bhai ko phone krte han wo bi wha aa jata han or zara ki laash ko ambulance le kr apne ghar laa te han. zara ka bhai police ko itlha deta han.

zara ke risthedaar bi aa jate han or zara ka jnazha ada kr diya jata han.
ussi raat hamza bus stand se arrest ho jata han. uska case chlta han to usko 6 saal ki saza milti han.

zara ka bhai zara ka bdla lena chata tha.

6 saal baad......
hamza ko jail se nikle howe chaar din ho gye the... or zara ka bhai usko doondh rha tha.uske paas pistol bi thi aakhir kar zara ke bhai ko hamza coffe shop pr mil jata han wo mobile me busy tha ke zara ka bhai uske sar pr gholi marta han or wo whi mr jata han.

hamza ke ghar wale phle hi bohat preshan the ke ye bi dukh unko mil gya. wo bi hamza ka jhanza ada kr dete han or zara ke bhai ko bi police arrest kr leti han.
or usko 6 saal ki saza milti han.


or yo teen dost ab iss dunyia me bi nhi rhe💔

Some Mentions:
‪@history_Warriors_55‬
‪@chutkiedits‬
‪@Bala_Aesthetic‬
‪@ErtugrulXOsman-c8k‬
‪@balam_era‬
‪@Crown_Chronicles-x1n‬
‪@Zoe_xtheticsz‬
‪@AnabiyaKhan-p‬

4 days ago | [YT] | 154

Talwaar baaz

Part 3:
Jahaaz mein laate hue Zara bohat zyada roti hai.

Woh Daniyal ke ghar walon ko pehle hi tabaah kar chuke thay. Us ke ghar walay bhi bohat zyada gham mein mubtala thay.

Zara hamesha Daniyal ko yaad karti rehti thi.

Ek mah baad......

Hamza aur Zara ab university mein dakhla le chuke thay.

Un ka Department bi ek hi tha. Zara ko ek din apne bag ki aakhri zip mein ek safha milta hai. Woh usay kholti hai to dekh kar hairaan reh jaati hai, kyun ke woh writing Daniyal ki thi.

ye sirf ek safha nahi tha, balkay ek khat tha, matlab Love Letter — jo Daniyal ne Zara ke liye likha tha.

Is ka matlab tha ke Daniyal ko bhi Zara se pyaar tha, lekin woh dosti ki khaatir ek doosray ko bata nahi sakte thay...

Is khat ke baare mein Hamza ko kuch ilm nahi tha.

Chaar saal baad......

Ab tak Hamza aur Zara ko unki degree mil chuki thi.

University mein inki alvidaai party thi. Hamza bari bari himmat karke Zara se kehta hai, “Main tumse pyar karta hoon.”

Zara bohat hairan hoti hai. Us waqt toh woh koi jawab nahi deti, lekin chaar din baad Zara maan jaati hai aur Hamza ko message karti hai ke apne walidain ko bhejo taake woh rishte ki baat karein.

Kyun ke Hamza ko ab ek achhi naukri mil gayi thi. Hamza rishta bhejta hai aur unki shaadi ho jaati hai.

Ek mahina toh woh khushi khushi guzarte hain, lekin ek din Hamza Zara ke purse se kuch paise le raha hota hai ke usay wohi letter milta hai jo Daniyal ne Zara ko likha tha.

Hamza saara khat parhta hai aur bohat pareshan ho jaata hai, kyun ke Zara ne us par likha tha ke:

“Main bhi tumse utna hi pyar karti hoon.”

Yeh Zara ne baad mein likha tha.

Hamza Zara Ko Kuch Nhi Btata Or khat Whi Rkh Deta Han.

Some People Think I Copied This Story.💔


Some Mentions:
‪@history_Warriors_55‬​
‪@Crown_Chronicles-x1n‬​
‪@ErtugrulXOsman-c8k‬​
‪@chutkiedits‬​
‪@balam_era‬​
‪@Bala_Aesthetic‬​
‪@Zoe_xtheticsz‬​
‪@Dinçzone‬​

5 days ago (edited) | [YT] | 143

Talwaar baaz

PART 2:

Masla nahi hai. Zara tayyar hone lagti hai. Apne kapray waghera rakhti hai aur ticket khareedti hai.

Hamza ke mamo ka karobar bhi Dubai mein tha. Woh kehte hain ke Hamza ko Dubai bhej do, woh kuch kaam seekh le ga. Abhi to woh farigh hai. Hamza ke parents maan gaye aur Hamza bhi tayyar hone laga. Dubai ki ticket us ke mamoon ne pehle hi khareed di thi.

Daniyal ne imtihan se pehle hi Dubai mein kisi company mein naukri ke liye apply kiya tha. Usay email aayi ke aap ka Dubai mein interview hai.

Ittifaq se un teeno ki flight ek hi din thi, lekin jahaz mukhtalif thay.
Zara sab se pehle Dubai pohanchi. Usay wahan pohanchay do ghantay ho chukay thay. Hamza abhi jahaz se utra hi tha ke usay notification aaya ke Zara ne story lagayi hai.

Hamza ne dekha to woh hiran reh gaya ke Zara Hamza ke mamo ki dukaan par baithi thi. Un ka wahan coffee aur chai waghera ka karobar tha.
Hamza ko dukaan ka pata maloom tha. Woh jald hi wahan pohanch gaya. Woh ek doosray ko dekh kar hairan reh gaye.

Hamza ne bataya ke yeh dukaan mere mamoon ki hai. Zara ne bataya ke meri khala yahan rehti hain, to unhon ne milne ke liye bulaya tha.
Bas ek do din ki baat thi. Isi liye maine kisi ko nahi bataya.
Hamza muskuratay huay kehta hai, "Main bhi yahan karobar seekhne aaya tha. Maine bhi bas do haftay hi rukna tha, is liye maine bhi nahi bataya."
Hamza kehta hai, "Chalo Daniyal ko batatay hain, woh khush ho jayega."

Daniyal pehle yaqeen nahi karta, lekin baad mein maan jata hai. Us ne bhi story lagayi thi, lekin Hamza aur Zara mein se kisi ne bhi us ki story nahi dekhi thi.
Daniyal pehle bohat khush hota hai aur phir hairan reh jata hai, kyun ke woh bhi wahin qareeb ek hotel mein tha. Woh dukaan hotel ke saamne hi thi.
Daniyal bhi usi dukaan mein chala gaya aur woh teeno aapas mein baatein karne lagay aur apne Dubai aane ki wajah batane lagay.

Daniyal subah interview se farigh hone ke baad un se milta hai. Subah ke 10 bajay hotay hain.
Zara kehti hai, "Aaj hum zyada nahi ghoomte, kyun ke abhi hum bohat zyada thakay huay hain. Hum kal Dubai ki sab se bari imarat, Burj Khalifa, ghoomne jayenge."
Hamza aur Daniyal bhi maan jatay hain.
Hamza kehta hai, "Main subah taxi le kar aaunga. Sab se pehle Zara ko le lunga, phir Daniyal ke hotel par aa jaunga."

Subah hoti hai to Hamza taxi leta hai aur Zara ko bitha kar Daniyal ke hotel chala jata hai. Woh usay das baar call karte hain, lekin woh phone nahi uthata.
Woh us ke kamray mein ja kar dekhte hain ke Daniyal apne bed par wafat pa chuka hota hai.
Lekin woh dono is haqeeqat ko maanne ke liye tayyar nahi thay, khaas taur par Zara, kyun ke woh Daniyal se pyar karti thi.
Hamza ke mamo usay paise waghera dete hain, to woh Daniyal ki mayyat ko Pakistan le kar aatay hain.

Btw I didn’t get the response I expected from Part 1.😭💔


Some Mentions:
‪@history_Warriors_55‬ ‪@Crown_Chronicles-x1n‬
‪@ErtugrulXOsman-c8k‬
‪@Bala_Aesthetic‬
‪@balam_era‬
‪@chutkiedits‬
‪@Dinçzone‬
‪@TurkQueens-em2‬
‪@Zoe_xtheticsz‬

6 days ago (edited) | [YT] | 284

Talwaar baaz

This Story Is Written By Me.
This Is My First Try.
Part 1:
Hamza, Daniyal aur Zara teen dost thay. Woh aksar aik chai ki dukaan par milte thay. Teeno aik hi college aur aik hi class mein thay. Woh aksar Murree, Swat, Naran, Kaghan aur kai aur shehron mein ghoomne ka mansuba banate thay. Lekin paisay na hone, waqt na milne aur ghar walon ki ijazat na hone ki wajah se woh nahi ja sakte thay.
Hamza ke dil mein aik baat thi ke woh Zara se pyaar karta tha, lekin Zara ko nahi pata tha. Zara ko pyaar Daniyal se tha, lekin woh aik doosre ko nahi bata sakte thay, kyun ke unki dosti bhi toot sakti thi.

Aik din woh usi chai ki dukaan par milte hain. Baaton baaton mein Hamza kehta hai:
" Aik din aayega jab hum Dubai mein milenge."
Daniyal kehta hai:
"Jab hum kabhi Murree tak nahi ja sake, toh Dubai khaak jayenge!"
Un dono ke darmiyan bohat behas hui thi aur Zara hi thi jo unki aapas mein baat khatam karwati thi.
College mein second year ke annual exams khatam ho gaye, toh ab unke paas teen mahine ka waqt tha.

Aik din Zara ghar hi mein thi ke uski khala ka phone aaya. Zara ki ammi ne phone uthaya. Khala ne haal chaal poochne ke baad achanak kaha:
"Zara ko Dubai bhej do, woh toh farigh hai."
Zara ki ammi ne kaha:
"Main Zara ke abu se baat karti hoon."
Jab unhon ne Zara ke abu se baat ki, toh abu ne kaha:
"Haan, chali jaye. Apni khala se mil legi, agar Zara ko koi masla nahi hai."

Some Mentions:
‪@history_Warriors_55‬ ‪@Crown_Chronicles-x1n‬
‪@ErtugrulXOsman-c8k‬ ‪@balam_era‬
‪@Bala_Aesthetic‬
‪@Asporca_verse‬
‪@Dinçzone‬
‪@chutkiedits‬
‪@TurkQueens-em2‬
‪@TurkAura-em2‬

I Really Work Hard On This.😌
Please Share With Mentions.☺️

6 days ago | [YT] | 435

Talwaar baaz

شاید چنبیلی اسی وجہ سے مرجھا گئی ہو کہ اس کا موازنہ گلاب کے ساتھ کیا گیا ہو۔🥀

1 week ago | [YT] | 839

Talwaar baaz

How Much Do You Like My Edits?

1 week ago | [YT] | 215

Talwaar baaz

Congratulations on 8K subscribers! 🥳❤️
May your channel keep growing and you achieve even bigger milestones. You deserve all the success coming your way! ✨💖🫶
‪@Bala_Aesthetic‬

you reached 8K and I reached 2K…😅

1 week ago | [YT] | 2,425