π’žπ’½π’Άπ“ƒπ’Ήπ“ƒπ’Ύα₯«α­‘

𝑱𝒖𝒔𝒕 𝒂 π’ˆπ’Šπ’“π’ π’˜π’‰π’ π’˜π’‚π’π’•π’” 𝒕𝒐 π’π’Šπ’—π’† 𝒂 π’π’Šπ’•π’•π’π’†, 𝒔𝒐 𝒔𝒉𝒆 π’π’Šπ’—π’†π’” π’•π’‰π’“π’π’–π’ˆπ’‰ π’ƒπ’π’π’Œπ’” ~

β™‘οΈŽ α΄°Κ°α΅’Λ‘α΅ƒα΅α΅–α΅˜Κ³ α΅Κ³α΅’α΅˜α΅– ᡐᡉᡐᡇᡉʳ (β—œβ€Ώβ—)β™‘


π’žπ’½π’Άπ“ƒπ’Ήπ“ƒπ’Ύα₯«α­‘

YAYYYYY
We are a family of 500 cutu logs πŸ₯ΉπŸŽ€

Thank youuhh πŸ˜ΊπŸ’—

3 days ago | [YT] | 24

π’žπ’½π’Άπ“ƒπ’Ήπ“ƒπ’Ύα₯«α­‘

So Shashwat and lavanya coded na? πŸ₯ΉπŸ’šπŸ¦‹

1 month ago | [YT] | 133

π’žπ’½π’Άπ“ƒπ’Ήπ“ƒπ’Ύα₯«α­‘

JANMASHTAMI KE DIN ITNA BADA SURPRISE πŸ˜­πŸŽ€πŸ’“
Story ki tarah cover page bhi kitni pyari hai πŸ¦‹πŸ«ΆπŸ»
Kon kon khareedega???

( Main nhi khareed paungi πŸ₯€ aise kaise kanha ji mujhe itni khush karde)

1 month ago (edited) | [YT] | 90

π’žπ’½π’Άπ“ƒπ’Ήπ“ƒπ’Ύα₯«α­‘

Dekho jinko judge karna ho karlena par aaj mujhe achanak likhne ka Mann Kiya and most of us will agree ki reading β€ͺ@Pri_div‬ ​ didi ki books are just comfort, it has taught me the real meaning of love and made me mature in a very good way πŸ˜­πŸ’“πŸ€ŒπŸ»

Soo πŸ‘€...


Hum toh aapke liye
aath saal bhi intezaar kar jaayeinβ€”
duniya kahe aap nahi rahe,
phir bhi har dua mein aapko mangein,
phir bhi aapke hone ka yakeen dilayein…

Aap door kisi qaid mein ho,
toh humari yaadon ko apni deewaar bana lena,
aur humse door hokar bhi
har tasveer mein humein saja lena.

Hum toh aapke liye
poore zamaane se lad jaayein,
sirf aapke ishq ko sach batakar
apne haathon mein aapka haath tham lein.

Aur agar kabhi hum
khud par yakeen khone lagein,
toh aap humare naam se
apni pehli kitaab likh denaβ€”
taaki duniya jaane,
kisi ne toh hum par yakeen kiya tha.

Hum toh aisi mohabbat karein
jismein haasil hona zaroori na ho,
bas aap khush raheinβ€”
aur humare ishq ko koi shikayat na ho.

Par kya aap bhi honge aise?

Kya aap bhi mere liye
zamaane se lad paoge?
Kismat agar humein juda kar dein,
toh kya meri yaadon mein jee paoge?
Aur dil ko yeh yakeen dila paogeβ€”
ki main aapko bhooli nahi?

Agar duniya mujhe kam samjhe,
toh kya aap meri kami nahi,
meri qeemat dekhoge?

Aur ek aakhri sawaalβ€”

Kya aap bhi usi shiddat se chahoge,
jaise humne aapko
har dafa, har janam,
bina kisi shart ke chaha?
Banoge mere deewane?

Kyunki iss kitaab ne mujhe
ek baat sikha diβ€”
Sachi mohabbat kisi ko paa lena nahi hoti…
kabhi toh mohabbat woh hoti hai
jahan unki khushi mein
apni khushi mil jaaye,
aur insaan door rehkar bhi
dil se juda na ho... 🫠

2 months ago (edited) | [YT] | 30