Cartoon Play Kids TV

Assalam-o-Alaikum! Cartoon Play Kids TV mein khush aamdeed.

Yahan aapko milengi Urdu mein behtareen Islamic cartoons aur bachon ki kahaniyan duas, nasheeds (bina music) aur sabaq amoz kahaniyan, Muslim bachon ke liye.

Hum chahte hain ke hamare bachay cartoon dekhte hue bhi Allah aur Rasool ﷺ se mohabbat seekhein. Omar, Aisha, Dada Abu aur Mithu tota ki har kahani mein koi na koi pyari baat hoti hai: sach bolna, shukr karna, namaz, dua.

Yahan Nabi aur Sahaba ki kahaniyan, Quran ki baatein, rozmarra ki duain, Arabic alphabet, ABC, numbers, lori aur fairy tales milengi, toddlers aur preschool bachon ke liye. Sab kuch halal aur family-friendly rakhne ki koshish hai: nasheeds mein koi musical instrument nahi, sirf awaaz aur duff, aur characters bhi modest.

Umeed hai yeh channel aap ke ghar ka hissa ban jaye. Naya episode har 1 yah 2 din mai aata hai. Pasand aaye to subscribe karein, bell icon dabayen, aur bachon ki dua mein hamein bhi yaad rakhiyega. 🤍

Learn • Smile • Pray • Grow